Sehme Hue Sapne Mere Lyrics – Roop Kumar Rathod

Sehme Hue Sapne Mere Lyrics sung by Roop Kumar Rathod from the movie Agneepath represents the Hindi Music Ensemble. The name of the song is O Saiyyan by Amitabh Bhattacharya.

Sehme Hue Sapne Mere Lyrics

Meri adhoori kahani
Lo dastan ban gayi
Ho toone chua aaj aise
Main kya se kya ban gayi

Sehme huye sapne mere
Haule haule angdaaiyan le rahe
Thehre huye lamhe mere
Nai nai gehraaiyan le rahe

Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karwat lene lage hain armaan phir bhi
Hai ankh num kyun na jaane O saiyyan
Odhoon teri kaya
Solah singar main saja loon
Sangam ki yeh raina
Is mein tyohar main mana loon Khushbu teri chhu ke kastoori ho jaaoon
Kitni pheeki thi main sindoori ho jaaoon
Sur se zara behki hui
Meri duniya thi badi besuri
Sur mein tere dhalne lagi
Bani re piya main bani baansuri
Zindagi ne pehni hai muskaan
Karne lagi hai itna karam kyun na jaane
Karwat lene lage hai armaan phir bhi
Hai ankh num kyun na jaane o saiyyan

Mere aasman se jo hamesha ghumshuda the
Chand taare toone gardishon ki lay badal di
Laut aaye aaj saare
O saiyyan

Video Song

This is the end of Sehme Hue Sapne Mere Lyrics.

If you have any suggestion or correction in the Lyrics, Please contact us or comment below.

Leave a Comment