Naam Asghar Hai Mera Lyrics – Mukhtar Hussain

Naam Asghar Hai Mera Lyrics sung by Mukhtar Hussain represents the Hindi Music Ensemble. The name of the song is Naam Asghar a s Hai Mera by Mukhtar Hussain.

Naam Asghar Hai Mera Lyrics

Naam Asghar hai mera Main Ali ka hoon Ali (x3)
Hurmala tujhko batata hoon mein auqaat teri
Naam Asghar hai mera Main Ali ka hoon Ali (x2)

Fakhr-e-Khursheed hoon main khaak ka paiwand nahi
Ibn-e-Shabbir sin-o-saal ka paaband nahi
Abhi maqtal mein rulaayegi tujhe meri hansi
Naam Asghar hai… (x2)

samajhta hai ke paani ki zaroorat hai mujhe
Saahib-e-amr ka beta hoon khabar bhi hai tujhe
Main jo chaahoon abhi lag jaayegi saawan ki jhadi
Naam Asghar hai… (x2)

Aaj se jang ke dastoor badal jaayenge hum
Faisla saaf ye likhainge moarrikh ke kalum
Haar kar jeet meri jeet hui haar teri
Naam Asghar hai… (x2)

Hashr se pehlay samaa hashr ka ho jaaye abhi
Zindagi maat ki aagosh mein so jaaye abhi
Band konain ki taqdeer hai mutthi mein meri
Naam Asghar hai… (x2)

Zor daada ka dikhaanay ki zaroorat kya hai
Mujh ko talwaar uthaanay ki zaroorat kya hai
Main ishaara karoon do ho abhi har aik shaqi
Naam Asghar hai… (x2)

Sham waalo ke muqaddar mein andhera kar doon
Muntazir hai wo meri koi ishaara kar doon
Hath bandhay huway khud maat hai maqtal mein khadi
Naam Asghar hai… (x2)

Meri maadar ne badhayi mere ladnay ki umang
Kabhi khyber kabhi khandaq kabhi siffeen ki jang
Cheh mahinay mujhe lori mein sunaaya hai yehi
Naam Asghar hai… (x2)

Khandaan aisay kareemo ka kahan aur bhala
Apne qaatil pe karam shewa-e-aal-e-Zehra
Hurmala ja tujhe khairaat mein shohrat de di

Chauda sadiyon se Takallum yeh koi kehta hai
Us ko aulaad ataa ho gi mera daawa hai
Sar aqeedat se rakhay to mere jhoolay pe koi

Naam Asghar hai mera Main Ali ka hoon Ali (x2)

Video Song

This is the end of Naam Asghar Hai Mera Lyrics.

If you have any suggestion or correction in the Lyrics, Please contact us or comment below.“

Leave a Comment